YEH KADAMB KA PED AGAR MAA, HOTA YAMUNA TEERE,
MAIN BHI US PAR BAITH KANHIYA,BANTA DHEERE,DHEERE...
LE DETI YADI BANSURI ,TUM DO PAISE WALI,
KISI TARAH NEECHE HO JATI YE KADAMB KI DALI,
TUMHEIN NAHI KUCH KEHTA,PAR MAIN,CHUPKE CHUPKE AATA,
US NEECHI DALI SE AMMA, UNCHE PE CHAD JATA....
WAHIN BAITH PHIR ,BADE MAJE SE,MAIN BANSURI BAJATA,
AMMA AMMA KEH TUMHEIN BANSI KE,SWAR MEIN BULATA....
SUN MERI BANSI KO MAA TUM ITNI,KHUSH HO JATI,
MUJHE DEKHNE KAAM CHOR KAR,TUM BAHAR TAK AATI....
TUMKO AATA DEKH BANSURI RAKH,MAIN CHUP HO JATA,
PATTON MEIN CHIPKAR DHEERE SE,PHIR BANSURI BAJATA...
GUSSE HOKAR MUJHE DANTI KEHTI,"NEECHE AAJA",
PAR JAB MAIN NA UTARTA,HANS KAR KEHTI,"MUNNA RAJA"....
NEECHE UTRO MERE BETA ,TUMHEIN MITHAI DUNGI,
NAYE KHILONE,MAKHAN,MISRI,DHOODH MALAI DUNGI...
MAIN HANS KAR SABSE UPAAR KI TEHNI ,PAR CHAD JATA,
EK BAAR "MAA" KEH PATTON MEIN WAHIN,KAHIN CHIP JATA...
BAHUT BULANE PAR BHI "MAA", JAB MAIN NA UTAR KAR AATA,
TAB "MAA" TUMHARA HARIDAY,BAHUT VIKAL HO JATA...
TUM AANCHAL PASAR KAR MAA WAHIN PED KE NEECHE,
EESHWAR SE KUCH VINTI KARTI,BAITHI AANKHEIN MEECHEY.....
TUMHEIN DHYAN MEIN LAGI DEKH,MAIN DHEERE DHEERE AATA,
AUR TUMHARE FAILE AANCHAL MEIN,AAKAR CHIP JATA...
TUM GHABRA KAR AANKH KHOLTI,PHIR BHI KHUSH HO JATI,
JAB APNE "MUNNE RAJA" KO,APNI GODI MEIN HI PATI....
ISI TARAH KUCH KHELA KARTE,HUM TUM DHEERE DHEERE,
"MAA" KADAMB KA PED AGAR,YE HOTA YAMUNA TEERE.......
nice poem
ReplyDeleteremember my childhood school days.
ReplyDeletefelt nice reading this poem,after about 40 years of school days.from childhood this one is my favourite poem.
ReplyDeleteMaa-bete ke agaadh sneh ko bahut hi sunder tath sateekta ke saath vanit kiya gaya hai. Jaan parta hai jaise sajeev roop main yah sab mere samakha ghat raha ho. Dil ko chhoo lene' me kavi aur kavita ka koye saami nahi.
ReplyDeleteLiked this poem.
ReplyDeleteThis touched my heart.
D.c.saxena
Liked this poem.
ReplyDeleteThis touched my heart.
D.c.saxena
school days are in front of my eyes again. childhood, best part of anyone's life.. excellent poem.. (Praveen Dahiya)
ReplyDelete(Sonia Dahiya)
maa bete ke agaath sneh ka varnan saral shabdo mein bayan kiya bus hridya ko chu liya
ReplyDeletemy mom says..she had read this poetry 55yrs ago in her school days..then i have also studied as it was there in Kendriya Vidyalaya's syllabus....n now for a hindi recitation, i have selected this poetry for my daughter ..par basuri do paise ki ab nahi milti
ReplyDeleteI love this poem.....rememered my childhood days
ReplyDeleteI want the meaning of this poem
ReplyDelete